Rajendra Nath Rahbar

sham kaThin hai raat kaDi hai

Rajendra Nath Rahbar

1931
shaam kaThin hai raat kaḌī hai
aao ki ye aane kī ghaḌī hai
vo hai apne husn meñ yaktā
dekh kahāñ taqdīr laḌī hai
maiñ tum ko hī soch rahā thā
aao tumhārī umr baḌī hai
kaash kushāda dil bhī rakhtā
jis ghar kī dahlīz baḌī hai
phir bichhḌe do chāhne vaale
phir Dholak par thaap paḌī hai
vo pahuñchā imdādī ban kar
jab jab ham par biphar paḌī hai
shahr meñ hai ik aisī hastī
jis ko mirī taklīf baḌī hai
hañs le 'rahbar' vo aa.e haiñ
rone ko to umr paḌī hai
Top Urdushayar.com