be-vafāoñ  ko  vafāoñ  kā  ḳhudā  ham  ne  kahā
kyā  hameñ  kahnā  thā  ai  dil  aur  kyā  ham  ne  kahā
lab  ko  ġhuncha  zulf  ko  kālī-ghaTā  ham  ne  kahā
dil  ne  ham  ko  jo  bhī  kahne  ko  kahā  ham  ne  kahā
kis  qadar  majbūr  hoñge  us  ghaḌī  ham  ai  ḳhudā
jab  tire  be-faiz  bandoñ  ko  ḳhudā  ham  ne  kahā
daad  denā  tum  hamārī  chashm-poshī  kī  hameñ
raah  meñ  jo  gum  the  un  ko  rahnumā  ham  ne  kahā
jab  marīz-e-ishq  ko  koī  davā  aa.ī  na  raas
dard  hī  ko  dard  kī  āḳhir  davā  ham  ne  kahā
gir  gayā  apnī  nigāhoñ  meñ  hī  apnā  sab  vaqār
jab  sar-e-bāzār  khoTe  ko  kharā  ham  ne  kahā