dāman-e-sad-chāk  ko  ik  baar  sī  letā  huuñ  maiñ
tum  agar  kahte  ho  to  kuchh  roz  jī  letā  huuñ  maiñ
be-sabab  piinā  mirī  ādāt  meñ  shāmil  nahīñ
mast  āñkhoñ  kā  ishāra  ho  to  pī  letā  huuñ  maiñ
gesuoñ  kā  ho  ghanā  saaya  ki  shiddat  dhuup  kī
vo  mujhe  jis  rañg  meñ  rakhtā  hai  jī  letā  huuñ  maiñ
aate  aate  aa  ga.e  andāz  jiine  ke  mujhe
ab  to  'rahbar'  ḳhuun  ke  aañsū  bhī  pī  letā  huuñ  maiñ