mahtāb  nahīñ  niklā  sitāre  nahīñ  nikle
dete  jo  shab-e-ġham  meñ  sahāre  nahīñ  nikle
kal  raat  nihattā  koī  detā  thā  sadā.eñ
ham  ghar  se  magar  ḳhauf  ke  maare  nahīñ  nikle
kyā  chhoḌ  ke  bastī  ko  gayā  tū  ki  tire  ba.ad
phir  ghar  se  tire  hijr  ke  maare  nahīñ  nikle
baiThe  raho  kuchh  der  abhī  aur  muqābil
armān  abhī  dil  ke  hamāre  nahīñ  nikle
niklī  to  haiñ  saj-dhaj  ke  tirī  yaad  kī  pariyāñ
ḳhvāboñ  ke  magar  raaj  dulāre  nahīñ  nikle
kab  ahl-e-vafā  jaan  kī  baazī  nahīñ  haare
kab  ishq  meñ  jānoñ  ke  ḳhasāre  nahīñ  nikle
andāz  koī  Dūbne  ke  sīkhe  to  ham  se
ham  Duub  ke  dariyā  ke  kināre  nahīñ  nikle
vo  log  ki  the  jin  pe  bharose  hameñ  kyā  kyā
dekhā  to  vahī  log  hamāre  nahīñ  nikle
ash.ār  meñ  daftar  hai  ma.ānī  kā  bhī  'rahbar'
ham  lafzoñ  hī  ke  mahz  sahāre  nahīñ  nikle