muddat  huī  hai  mad.h-e-hasīnāñ  kiye  hue
nūr-e-suḳhan  se  dil  ko  charāġhāñ  kiye  hue
arsa  huā  hai  vasf-e-bahār-e-jamāl  se
rū-e-varaq  ko  rashk-e-gulistāñ  kiye  hue
barsoñ  hue  haiñ  tazkira-e-soz-e-ishq  se
bazm-e-suḳhanvarī  ko  daraḳhshāñ  kiye  hue
aatā  hai  kis  shikoh  se  vo  rashk-e-āftāb
zulmat-kade  diloñ  ke  charāġhāñ  kiye  hue
jaatā  huuñ  kū-e-yār  ko  dekh  ai  ghaTā  mujhe
barpā  hujūm-e-ashk  se  tūfāñ  kiye  hue
baiThe  haiñ  ham  tasavvur-e-gesū-e-yār  meñ
is  zindagī  ko  ḳhvāb-e-pareshāñ  kiye  hue
ḳhuuñ  kar  ke  le  chalā  huuñ  dil-o-jāñ  ko  apne  saath
dīdār-e-rū-e-yār  kā  sāmāñ  kiye  hue
mar  miTiye  is  adā  pe  ki  kuchh  log  jal-bujhe
siine  meñ  soz-e-ishq  ko  pinhāñ  kiye  hue
vo  nau-bahār-e-husn  bhī  is  raah  se  gayā
har  naqsh-e-pā  ko  rauza-e-rizvāñ  kiye  hue