garebāñ  se  tire  kis  ne  nikālā  sub.h-e-ḳhandāñ  ko
kiyā  kis  ne  nihāñ  dāman  kī  kaliyoñ  se  gulistāñ  ko
uḌāyā  chuTkiyoñ  meñ  mere  zarre  ne  bayābāñ  ko
mire  qatre  ne  paanī  kar  diyā  har  mauj-e-tūfāñ  ko
mirī  kashtī  bhañvar  se  khelne  kā  shauq  rakhtī  hai
ye  kis  ne  kar  diyā  ḳhāmosh  yārab  mauj-e-tūfāñ  ko
ye  kyā  naġhma  thā  chheḌā  jo  yakāyak  qalb-e-muztar  ne
ki  merī  nai  ne  raqsāñ  kar  diyā  saare  gulistāñ  ko
maiñ  huuñ  vo  qatra-e-shabnam  ki  chamkā  tere  partav  se
lagī  haiñ  khīñchne  kirneñ  mirī  mehr-e-daraḳhshāñ  ko
mire  zauq-e-fanā  par  zindagī  hai  ḳhizr  kī  qurbāñ
mire  talḳhāna-e-ġham  meñ  Dubo  do  āb-e-haivāñ  ko
kālīm-e-tūr-e-ma.anī  huuñ  yad-e-baizā  hai  merā  dil
munavvar  kar  diyā  jis  ne  mire  chāk-e-garebāñ  ko