Rehman Faris

mujhe gharaz hai sitare na mahtab ke sath

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
mujhe ġharaz hai sitāre na māhtāb ke saath
chamak rahā hai ye dil puurī āb-o-tāb ke saath
napī-tulī sī mohabbat lagā bañdhā sā karam
nibhā rahe ho ta.alluq baḌe hisāb ke saath
maiñ is liye nahīñ thaktā tire ta.āqub se
mujhe yaqīñ hai ki paanī bhī hai sarāb ke saath
savāl-e-vasl pe inkār karne vaale sun
savāl ḳhatm nahīñ hogā is javāb ke saath
ḳhamosh jhiil ke paanī meñ vo udāsī thī
ki dil bhī Duub gayā raat māhtāb ke saath
jatā diyā ki mohabbat meñ ġham bhī hote haiñ
diyā gulāb to kāñTe bhī the gulāb ke saath
maiñ le uḌūñgā tire ḳhadd-o-ḳhāl se ta.abīr
na dekh merī taraf chashm-e-nīm-ḳhvāb ke saath
are ye sirf bahāna hai baat karne kā
mirī majāl ki jhagḌā karūñ janāb ke saath
visāl-o-hijr kī sarhad pe jhuTpuTe meñ kahīñ
vo be-hijāb huā thā magar hijāb ke saath
shikasta aa.ina dekhā phir apnā dil dekhā
dikhā.ī dī mujhe tābīr-e-ḳhvāb ḳhvāb ke saath
vahāñ milūñgā jahāñ donoñ vaqt milte haiñ
maiñ kam-nasīb tire jaise kāmyāb ke saath
dayār-e-hijr ke roza-guzār chāhte haiñ
ki roza kholeñ tire aur sharāb-e-nāb ke saath
tum achchhī dost ho so merā mashvara ye hai
milā-julā na karo 'fāris'-e-ḳharāb ke saath
Top Urdushayar.com