sar-e-varaq  pe  likhā  intiqām  hai  shāyad
isī  bayāz  meñ  merā  bhī  naam  hai  shāyad
kahā  jo  maiñ  ne  ki  kuchh  ehtijāj  hai  barpā
to  bole  zill-e-ilāhī  avaam  hai  shāyad
uThe  jo  haath  duā  ko  badal  ga.e  manzar
ḳhudā  se  merā  yaqīñ  ham-kalām  hai  shāyad
maiñ  aa.uuñ  tum  ko  na  dekhūñ  to  phir  palaT  jā.ūñ
tumhārī  samt  se  ye  intizām  hai  shāyad
ye  āb-o-gil  ye  shajar  āsmān  ye  sūraj
kisī  ke  aane  kā  ye  ehtimām  hai  shāyad
jamī  huī  hai  nazar  aaj  tum  pe  saaqī  kī
tumhāre  hisse  kā  gardish  meñ  jaam  hai  shāyad
namāz-e-fazr  meñ  masjid  meñ  kyuuñ  hai  sannāTā
namāzī  koī  nahīñ  bas  imaam  hai  shāyad