kitnā  lambā  tirā  safar  dariyā
is  ko  kar  thoḌā  muḳhtasar  dariyā
is  zamīñ  par  hai  be-gharī  qismat
mar  ke  ban  jaa.e  apnā  ghar  dariyā
mil  gayā  jā  ke  ab  samundar  se
vaah  tū  ho  gayā  amar  dariyā
bāñdh  kar  bañdh  tujh  ko  rok  liyā
ma.arka  ho  gayā  hai  sar  dariyā
beach  apne  jo  ho  ga.ī  haa.il
is  bulandī  se  ab  utar  dariyā
terā  sailāb  sañg-dil  hai  bahut
is  ghamanDī  ke  par  katar  dariyā
kuchh  nasheb-o-farāz  lāzim  haiñ
sīdhe  sīdhe  na  kar  safar  dariyā
chashm-e-'āqib'  meñ  aa  ke  Thahr  zarā
yuuñ  na  phir  ab  bhī  dar-ba-dar  dariyā