ḳhāna-e-dil  ki  mo.attar  bhī  bahut  lagtā  hai
terī  yādoñ  se  munavvar  bhī  bahut  lagtā  hai
garche  halkā  sā  dhuñdlakā  hai  tasavvur  bhī  tirā
band  āñkhoñ  ko  ye  manzar  bhī  bahut  lagtā  hai
sochte  haiñ  ki  jiyeñge  tujhe  jī  bhar  ke  magar
zindagī  tujh  se  hameñ  Dar  bhī  bahut  lagtā  hai
pūchh  ham  se  ki  haqīqat  meñ  hai  kyā  terā  vajūd
tere  shānoñ  pe  ye  ik  sar  bhī  bahut  lagtā  hai
farq  kuchh  bhī  nahīñ  ehsās-e-tashaḳhḳhus  ke  sivā
darmiyāñ  apne  ye  antar  bhī  bahut  lagtā  hai
ham  qanā.at  pe  guzar  karte  haiñ  'āqib'  ham  ko
kachchī  dīvāroñ  kā  ik  ghar  bhī  bahut  lagtā  hai