tumhāre  saath  ye  jhūTe  faqīr  rahte  haiñ
hamāre  saath  to  munkir-nakīr  rahte  haiñ
hamārī  kam-nazarī  se  jo  ho  ga.e  mahdūd
unhī  mazāroñ  meñ  raushan  zamīr  rahte  haiñ
rivāyatoñ  ke  ta.assur  kā  apnā  jaadū  hai
kahīñ  kahīñ  mirī  ġhazloñ  meñ  'mīr'  rahte  haiñ
bahut  udaas  haiñ  dīvāreñ  ūñche  mahloñ  kī
ye  vo  khañDar  haiñ  ki  jin  meñ  amiir  rahte  haiñ
har  ik  fasād  zarūrat  hai  ab  siyāsat  kī
har  ik  ghoTāle  ke  pīchhe  vazīr  rahte  haiñ