dānā.iyāñ  aTak  ga.iiñ  lafzoñ  ke  jaal  meñ
itne  javāb  gum  haiñ  mire  ik  savāl  meñ
dariyā  bas  ik  qadam  kabhī  sāhil  kī  samt  aa
dekhūñgā  zor  kitnā  hai  tere  ubaal  meñ
kī  ehtiyāt  laakh  magar  haal  ye  huā
aanā  thā  jin  ko  aa  hī  ga.e  terī  chaal  meñ
jī  chāhtā  hai  tark-e-mohabbat  ko  baar  baar
aatā  hai  ek  aisā  bhī  lamha  visāl  meñ
ab  kyā  usūl-e-dasht-navardī  kī  baat  ho
uljhe  paḌe  haiñ  paañv  shikārī  ke  jaal  meñ