aur  thoḌā  sā  bikhar  jā.ūñ  yahī  Thānī  hai
zindagī  maiñ  ne  abhī  haar  kahāñ  maanī  hai
haath  par  haath  dhare  baiThe  to  kuchh  miltā  nahīñ
dasht  o  sahrā  kī  miyāñ  ḳhaak  kabhī  chhānī  hai
qatl  ko  qatl  jo  kahte  haiñ  ġhalat  kahte  haiñ
kuchh  nahīñ  zill-e-ilāhī  kī  ye  nādānī  hai
sahm  jaate  haiñ  agar  patta  bhī  koī  khaḌke
jānte  sab  haiñ  tirā  zimma  nigahbānī  hai
apnī  ġhairat  kā  samundar  abhī  sūkhā  to  nahīñ
buuñd  bhar  hī  sahī  āñkhoñ  meñ  abhī  paanī  hai