kho.e  hue  paloñ  kī  koī  baat  bhī  to  ho
vo  mil  gayā  hai  us  se  mulāqāt  bhī  to  ho
barbād  maiñ  huā  to  ye  bolā  amīr-e-shahr
coffē  nahīñ  hai  itnā,  fanā  zaat  bhī  to  ho
duniyā  kī  mujh  pe  laakh  navāzish  sahī  magar
mary  taraqqiyoñ  meñ  tirā  haat  bhī  to  ho
miltī  haiñ  gor  yaañ  to  sar-e-rāh  bhī  magar
panghaT  ho  gāgarī  ho  vo  dehāt  bhī  to  ho
haare  to  lāziman  use  koī  panāh  de
ham  se  laḌe  jo  us  kī  ye  auqāt  bhī  to  ho
kaTtī  hai  shab  visāl  kī  palkeñ  jhapakte  hī
jis  kī  sub.h  na  ho  kabhī  vo  raat  bhī  to  ho
lafzoñ  ke  her-pher  se  bantī  nahīñ  ġhazal
sheroñ  meñ  thoḌī  garmi-e-jazbāt  bhī  to  ho