jab  bhī  jalegī  sham.a  to  parvāna  aa.egā
dīvāna  le  ke  jaan  kā  nazrāna  aa.egā
tujh  ko  bhulā  ke  lūñgā  maiñ  ḳhud  se  bhī  intiqām
jab  mere  haath  meñ  koī  paimāna  aa.egā
āsān  kis  qadar  hai  samajh  lo  mirā  pata
bastī  ke  baad  pahlā  jo  vīrāna  aa.egā
us  kī  galī  meñ  sar  kī  bhī  lāzim  hai  ehtiyāt
patthar  uThā  ke  haath  meñ  dīvāna  aa.egā
'nāsir'  jo  pattharoñ  se  navāzā  gayā  huuñ  maiñ
marne  ke  baad  phūloñ  kā  nazrāna  aa.egā