Hakeem Nasir

is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain

Hakeem Nasir

Ajmer, Rajasthan, India

1947-2007

is rāh-e-mohabbat meñ to āzār mile haiñ

phūloñ tamannā thī magar ḳhaar mile haiñ

anmol jo insāñ thā vo kauḌī meñ bikā hai

duniyā ke ka.ī aise bhī bāzār mile haiñ

jis ne bhī mujhe dekhā hai patthar se navāzā

vo kaun haiñ phūloñ ke jinheñ haar mile haiñ

mālik ye diyā aaj havāoñ se bachānā

mausam hai ajab āñdhī ke āsār mile haiñ

duniyā meñ faqat ek zuleḳhā nahīñ thī

har yūsuf-e-sānī ke ḳharīdār mile haiñ

ab un ke na milne shikāyat na gila hai

ham jab bhī mile ḳhud se to be-zār mile haiñ

'nāsir' ye tamannā thī mohabbat se mileñge

vo jab bhī mile bar-sar-e-paikār mile haiñ

Top Urdushayar.com