kabhī  vo  haath  na  aayā  havāoñ  jaisā  hai
vo  ek  shaḳhs  jo  sach-much  ḳhudāoñ  jaisā  hai
hamārī  sham-e-tamannā  bhī  jal  ke  ḳhaak  huī
hamāre  sho.aloñ  kā  aalam  chitāoñ  jaisā  hai
vo  bas  gayā  hai  jo  aa  kar  hamārī  sāñsoñ  meñ
jabhī  to  lahja  hamārā  duāoñ  jaisā  hai
tumhāre  ba.ad  ujāle  bhī  ho  ga.e  ruḳhsat
hamāre  shahr  kā  manzar  bhī  gaañv  jaisā  hai
vo  ek  shaḳhs  jo  ham  se  hai  ajnabī  ab  tak
ḳhulūs  us  kā  magar  āshnāoñ  jaisā  hai
hamāre  ġham  meñ  vo  zulfeñ  bikhar  ga.iiñ  'nāsir'
jabhī  to  aaj  kā  mausam  bhī  chhāñv  jaisā  hai