haa.e  vo  vaqt-e-judā.ī  ke  hamāre  aañsū
gir  ke  dāman  pe  bane  the  jo  sitāre  aañsū
laal  o  gauhar  ke  ḳhazāne  haiñ  ye  saare  aañsū
koī  āñkhoñ  se  churā  le  na  tumhāre  aañsū
un  kī  āñkhoñ  meñ  jo  aa.eñ  to  sitāre  aañsū
merī  āñkhoñ  meñ  agar  huuñ  to  bichāre  aañsū
dāman-e-sabr  bhī  hāthoñ  se  mire  chhūT  gayā
ab  to  aa  pahuñche  haiñ  palkoñ  ke  kināre  aañsū
aap  lillāh  mirī  fikr  na  kiije  hargiz
aa  ga.e  haiñ  yūñhī  bas  shauq  ke  maare  aañsū
do  ghaḌī  dard  ne  āñkhoñ  meñ  bhī  rahne  na  diyā
ham  to  samjhe  the  baneñge  ye  sahāre  aañsū
tū  to  kahtā  thā  na  ro.eñge  kabhī  tere  liye
aaj  kyuuñ  aa  ga.e  palkoñ  ke  kināre  aañsū
aaj  tak  ham  ko  qalaq  hai  usī  rusvā.ī  kā
bah  ga.e  the  jo  bichhaḌne  pe  hamāre  aañsū
mere  Thahre  hue  ashkoñ  kī  haqīqat  samjho
kar  rahe  haiñ  kisī  tūfāñ  ke  ishāre  aañsū
aaj  ashkoñ  pe  mire  tum  ko  hañsī  aatī  hai
tum  to  kahte  the  kabhī  in  ko  sitāre  aañsū
is  qadar  ġham  bhī  na  de  kuchh  na  rahe  paas  mire
aisā  lagtā  hai  ki  bah  jā.eñge  saare  aañsū
dil  ke  jalne  kā  agar  ab  bhī  ye  andāz  rahā
phir  to  ban  jā.eñge  ik  din  ye  sharāre  aañsū
tum  ko  rimjhim  kā  nazāra  jo  lagā  hai  ab  tak
ham  ne  jalte  hue  āñkhoñ  se  guzāre  aañsū
mere  hoñToñ  ko  to  jumbish  bhī  na  hogī  lekin
shiddat-e-ġham  se  jo  ghabrā  ke  pukāre  aañsū
merī  fariyād  sunī  hai  na  vo  dil  mom  huā
yūñhī  bah  bah  ke  mire  aaj  ye  haare  aañsū
un  ko  'nāsir'  kabhī  āñkhoñ  se  na  girne  denā
merī  āñkhoñ  meñ  inheñ  lagte  haiñ  pyāre  aañsū