ishq  kar  ke  dekh  lī  jo  bebasī  dekhī  na  thī
is  qadar  uljhan  meñ  pahle  zindagī  dekhī  na  thī
ye  tamāshā  bhī  ajab  hai  un  ke  uTh  jaane  ke  baad
maiñ  ne  din  meñ  is  se  pahle  tīrgī  dekhī  na  thī
aap  kyā  aa.e  ki  ruḳhsat  sab  andhere  ho  ga.e
is  qadar  ghar  meñ  kabhī  bhī  raushnī  dekhī  na  thī
aap  se  āñkheñ  milī  thiiñ  phir  na  jaane  kyā  huā
log  kahte  haiñ  ki  aisī  be-ḳhudī  dekhī  na  thī
mujh  ko  ruḳhsat  kar  rahe  haiñ  vo  ajab  andāz  se
aañkh  meñ  aañsū  laboñ  par  ye  hañsī  dekhī  na  thī
kis  qadar  ḳhush  huuñ  maiñ  'nāsir'  un  ko  pā  lene  ke  baad
aisā  lagtā  hai  kabhī  aisī  ḳhushī  dekhī  na  thī