Mujeeb Khairabadi

yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai

Mujeeb Khairabadi

yahī nahīñ ki bas ġham-e-safar hamāre saath hai

mizāj-e-shabnam o dil-e-sharar hamāre saath hai

unheñ kulāh-e-ḳhvājgī pe naaz hai huā kare

ye anjuman anjuman magar hamāre saath hai

shab-e-safar ġham kyā shab-e-safar hai muḳhtasar

abhī to ek dal rāhbar hamāre saath hai

tumhāre dāmanoñ meñ sañg-hā-e-nau-ba-nau sahī

ḳhayāl-e-indimāl-e-zaḳhm-e-sar hamāre saath hai

vo log aur un vo dukāñ to baḌh ga.ī magar

sitamgaroñ tab.a shīshagar hamāre saath hai

jise qadam qadam pe ḳhud hājat-e-davā na ho

batāo koī aisā chāra-gar hamāre saath hai

nahīñ agar tufañg o tiir o tesha o tabar to kyā

dil-e-javāñ junūn-e-mo'atabar hamāre saath hai

Top Urdushayar.com