imārat  kā  koī  nashsha  nahīñ  thā
anā  ke  ghar  se  jab  niklā  nahīñ  thā
mujhe  to  yaad  hī  aatā  nahīñ  hai
koī  lamha  ki  jab  taḌpā  nahīñ  thā
maiñ  sab  ke  vāste  achchhā  thā  lekin
usī  ke  vāste  achchhā  nahīñ  thā
magar  tashbīh  us  ko  kis  se  dete
abhī  to  chāñd  bhī  niklā  nahīñ  thā
ajab  ayyām-e-shauq-e-dīd  guzre
kabhī  rātoñ  ko  maiñ  sotā  nahīñ  thā
hamāre  ḳhvāb  meñ  saa.e  ka.ī  the
kisī  ke  dosh  par  chehra  nahīñ  thā
khulī  jo  aañkh  to  dekhā  ye  maiñ  ne
abhī  to  hashr  hī  barpā  nahīñ  thā