muhāsba  kiyā  na  jaa.e  is  meñ  kis  kā  kyā  gayā
na  mujh  se  hī  rahā  gayā  na  us  se  kuchh  sahā  gayā
ye  dil  se  dil  kā  vāsta  bhī  kitnā  dil-fareb  hai
jagī  hai  dil  meñ  raushnī  ki  terā  dard  bhā  gayā
ye  kis  ke  naqsh-e-pā  pe  sab  ne  e.atibār  kar  liyā
ye  kaun  pesh-rau  banā  ki  rāsta  banā  gayā
nazar  milā  ke  us  se  merī  baat  tak  nahīñ  huī
mire  muāmle  meñ  jaane  kaun  kyā  lagā  gayā
abhī  bhī  merī  jeb  meñ  hai  raushnī  bachī  huī
añdherā  kis  umiid  par  mire  qarīb  aa  gayā
ye  niil  mujh  se  kah  rahā  hai  tanz  kī  zabān  meñ
vahāñ  pe  jā  sadā  lagā  jahāñ  tirā  asā  gayā
mujhe  pata  nahīñ  malak  ki  kis  maqām  par  huuñ  maiñ
zabāñ  se  jo  nikal  ga.ī  use  adab  likhā  gayā