mausam-e-gul  ye  tirī  zard  sahāfat  kaisī
phuul  ma.asūm  haiñ  phūloñ  se  siyāsat  kaisī
us  ne  daldal  ke  qarīñ  chhoḌ  dī  uñglī  merī
ḳhizr  kahlātā  hai  kartā  hai  qayādat  kaisī
jaise  is  baar  havāoñ  meñ  lagī  ho  dīmak
ho  rahī  hai  mirī  sāñsoñ  kī  kifālat  kaisī
maiñ  jahāñ  bhī  rahūñ  ye  DhūñD  nikālegī  mujhe
jāntā  huuñ  ki  hai  miTTī  kī  basārat  kaisī
chhin  ga.ī  mujh  se  har  ik  chiiz  alif  se  yā  tak
mere  maazī  ne  ye  likkhī  thī  vasiyyat  kaisī
gar  koī  qatl  nahīñ  kartā  hai  andar  se  mujhe
phir  mirī  palkoñ  pe  ashkoñ  kī  ye  mayyat  kaisī
sañg  hāthoñ  meñ  liye  soch  rahā  huuñ  'ḳhurshīd'
aa.ine  se  ye  nikal  aa.ī  raqābat  kaisī