ai  mire  dil  tujhe  pata  hai  kyā
vo  tire  ġham  se  āshnā  hai  kyā
mujh  meñ  mātam  kā  shor  kaisā  hai
mere  andar  koī  mirā  hai  kyā
sab  se  hañs  ke  gale  jo  miltā  hai
shahr  meñ  vo  nayā  nayā  hai  kyā
zindagī  dho  ke  roz  piitā  huuñ
aur  piine  ko  kuchh  bachā  hai  kyā
qissa-e-dil  raqam  karūñ  kaise
ishq  hai  koī  sāneha  hai  kyā
phal  koī  haath  kyuuñ  nahīñ  aatā
qad  meñ  mujh  se  shajar  baḌā  hai  kyā
tujh  meñ  uljhā  huā  maiñ  rahtā  huuñ
tū  batā  merā  mas.ala  hai  kyā
kyuuñ  mujhe  DhūñDhtī  hai  purvā.ī
mere  zaḳhmoñ  se  vāsta  hai  kyā
mujh  ko  jhūTā  batā  rahā  hai  jo
mere  andar  kā  aa.ina  hai  kyā
kaun  detā  hai  dastakeñ  itnī
gum-shuda  koī  hādisa  hai  kyā
kaise  ḳhurshīd  us  ko  badloge
zindagī  koī  qāfiya  hai  kyā