Fahmi Badayuni

tere jaisa koi mila hi nahin

Fahmi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952
tere jaisā koī milā hī nahīñ
kaise miltā kahīñ pe thā hī nahīñ
ghar ke malbe se ghar banā hī nahīñ
zalzale kā asar gayā hī nahīñ
mujh pe ho kar guzar ga.ī duniyā
maiñ tirī raah se haTā hī nahīñ
kal se masrūf-e-ḳhairiyat maiñ huuñ
sher taaza koī huā hī nahīñ
raat bhī ham ne hī sadārat kī
bazm meñ aur koī thā hī nahīñ
yaar tum ko kahāñ kahāñ DhūñDā
jaao tum se maiñ boltā hī nahīñ
yaad hai jo usī ko yaad karo
hijr kī dūsrī davā hī nahīñ
Top Urdushayar.com