Fahmi Badayuni

zara mohtat hona chahiye tha

Fahmi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952
zarā mohtāt honā chāhiye thā
baġhair ashkoñ ke ronā chāhiye thā
ab un ko yaad kar ke ro rahe haiñ
bichhaḌte vaqt ronā chāhiye thā
mirī va.ada-ḳhilāfī par vo chup hai
use nārāz honā chāhiye thā
chalā aatā yaqīnan ḳhvāb meñ vo
hameñ kal raat sonā chāhiye thā
suī dhāga mohabbat ne diyā thā
to kuchh siina pironā chāhiye thā
hamārā haal tum bhī pūchhte ho
tumheñ ma.alūm honā chāhiye thā
vafā majbūr tum ko kar rahī thī
to phir majbūr honā chāhiye thā
Top Urdushayar.com