zarā  mohtāt  honā  chāhiye  thā
baġhair  ashkoñ  ke  ronā  chāhiye  thā
ab  un  ko  yaad  kar  ke  ro  rahe  haiñ
bichhaḌte  vaqt  ronā  chāhiye  thā
mirī  va.ada-ḳhilāfī  par  vo  chup  hai
use  nārāz  honā  chāhiye  thā
chalā  aatā  yaqīnan  ḳhvāb  meñ  vo
hameñ  kal  raat  sonā  chāhiye  thā
suī  dhāga  mohabbat  ne  diyā  thā
to  kuchh  siina  pironā  chāhiye  thā
hamārā  haal  tum  bhī  pūchhte  ho
tumheñ  ma.alūm  honā  chāhiye  thā
vafā  majbūr  tum  ko  kar  rahī  thī
to  phir  majbūr  honā  chāhiye  thā