pasīna  māthe  se  bah  rahā  hai  na  koī  silvaT  libās  par  hai
ajab  thakan  hai  jo  kaam  karne  se  qabl  taarī  havās  par  hai
safed  rut  meñ  gulāb  hāthoñ  se  saat  rañgoñ  ke  ḳhvāb  chuntī
kapās  chunñe  ko  aa.ī  laḌkī  kā  dhyān  thoḌī  kapās  par  hai
samundaroñ  ke  musāfiro  kuchh  izāfī  paanī  bhī  saath  rakhnā
ki  ik  jazīra  baḌī  hī  muddat  se  chand  qatroñ  kī  aas  par  hai
mirī  mohabbat  ubalte  alfāz  kī  na  muhtāj  hai  na  hogī
ye  ThanDā  paanī  gilās  meñ  hai  magar  pasīna  gilās  par  hai
badan  kā  har  ek  uzv  dil  kā  kiyā-karāyā  bhugat  rahā  hai
is  ik  student  kī  ḳhatā  kā  itaab  saarī  class  par  hai