na  gire  kahīñ  na  hare  hue  ka.ī  saal  se
yūñhī  ḳhushk  paat  juḌe  rahe  tirī  Daal  se
koī  lams  thā  jo  sarāpā  aañkh  banā  rahā
koī  phuul  jhāñktā  rah  gayā  kisī  shaal  se
tirī  kā.enāt  se  kuchh  ziyāda  talab  nahīñ
faqat  ek  motī  hī  motiyoñ  bhare  thaal  se
tū  vo  sāhira  ki  tilism  terā  uruuj  par
maiñ  vo  aag  huuñ  jo  bujhegī  tere  zavāl  se
tire  mausamoñ  ke  taġhayyurāt  ajiib  haiñ
maiñ  qabā  banāne  lagā  huuñ  peḌ  kī  chhāl  se