libās-e-zīst  kabhī  yuuñ  bhī  terā  darshan  ho
sajī  sajā.ī  huī  jaise  koī  dulhan  ho
ye  qaht-e-sher  paḌā  ho  na  qaht-e-ġham  ke  sabab
charāġh  itnā  hī  jaltā  hai  jitnā  īñdhan  ho
ye  maiñ  hī  huuñ  jo  udāsī  nikāltā  huuñ  tirī
har  ik  fasīl  meñ  lāzim  nahīñ  ki  rauzan  ho
tū  apne  ḳhvāb  mirī  aañkh  se  na  dekhā  kar
baratne  ke  liye  behtar  hai  apnā  bartan  ho
ajiib  jaldī  thī  bachpan  meñ  kab  baḌe  hoñge
baḌe  hue  haiñ  to  jī  chāhtā  hai  bachpan  ho
kaḌī  jo  TuuTī  to  sābit  nahīñ  rahī  zanjīr
aham  hai  vo  bhale  chhoTā  sā  koī  bandhan  ho