tirā  ġhurūr-e-abas  intihā.ī  sat.h  pe  hai
bulandī  par  bhī  vahī  hai  jo  khaa.ī  sat.h  pe  hai
phalāñg  saktā  huuñ  jitnā  hai  do  diloñ  ke  beach
magar  jo  fāsla  juġhrāfiyā.ī  sat.h  pe  hai
mujhe  nahīñ  hai  zarā  rañj  tah-nashīnī  kā
mujhe  ḳhushī  hai  chalo  merā  bhaa.ī  sat.h  pe  hai
ham  aise  dekhne  vāloñ  kā  koī  dosh  nahīñ
ki  zer-e-sat.h  kasāfat  safā.ī  sat.h  pe  hai
ye  kis  hunar  se  kiyā  tum  ne  ḳhud  ko  sair  ai  dost
ki  duudh  pī  bhī  liyā  aur  malā.ī  sat.h  pe  hai