apnī  pasand  chhoḌ  dī  us  kī  ḳharīd  lī
virse  kā  khet  bech  ke  koThī  ḳharīd  lī
ik  umr  apne  beToñ  ko  uñglī  thamā.ī  phir
būḌhe  ne  ik  dukān  se  lāThī  ḳharīd  lī
vaise  to  nirḳh  kam  hī  the  gandum  ke  is  baras
aa.ī  thī  tere  gaañv  se  mahñgī  ḳharīd  lī
ham  dostoñ  ke  pyaar  meñ  ham-rañg  haiñ  libās
aur  log  kah  rahe  haiñ  ki  vardī  ḳharīd  lī
tasvīr  apnī  ḳhud  hī  musavvir  ko  bhā  ga.ī
ḳhud  gallery  meñ  pesh  kī  ḳhud  hī  ḳharīd  lī
ai  hijr-zād  tum  ko  bhī  hai  ārzū-e-vasl
ai  dasht-zād  tum  ne  bhī  kashtī  ḳharīd  lī
dar-asl  mas.ala  to  hai  chalnā  ghaḌī  ke  saath
is  se  ġharaz  nahīñ  hai  ki  kaisī  ḳharīd  lī