itnī  sī  aañkh  ne  ġham  kitnā  uThā  liyā  hai
kashtī  ne  apne  andar  dariyā  uThā  liyā  hai
us  nī-vasl  se  ye  tark-e-ta.alluq  achchhā
chāñdī  ko  rakh  ke  maiñ  ne  sonā  uThā  liyā  hai
ik  to  pagār  jaise  bachchoñ  kī  jeb-ḳharchī
uupar  se  dostoñ  kā  ḳharcha  uThā  liyā  hai
ḳhushbū  ke  āshiqoñ  ko  taz.īn-e-bāġh  se  kyā
jo  phuul  bhī  zarā  sā  mahkā  uThā  liyā  hai
chubh  jaa.e  soī  bhī  to  bhāgeñ  mujhe  dikhāne
jaise  ki  maiñ  ne  sab  kā  Thekā  uThā  liyā  hai
naanī  ne  tark  kar  dī  kyuuñ  rasm-e-qissa-goī
kyā  chāñd  se  kisī  ne  charḳha  uThā  liyā  hai