sāñsoñ  ke  ta.āqub  meñ  hairān  milī  duniyā
tasvīr  bane  jab  ham  ā.īna  huī  duniyā
ham  ḳhuun  pasīna  jab  ik  kar  ke  hue  raushan
kyuuñ  aag  banī  duniyā  aur  ḳhuub  jalī  duniyā
apnā  nazariyya  kyā  mahrūm-e-nazar  haiñ  jab
us  samt  chale  ham  bhī  jis  samt  chalī  duniyā
sailāb-e-balā  se  ye  kyuuñ  ḳhauf  dilātī  hai
kyā  ham  ko  bachā.egī  sho.aloñ  meñ  ghirī  duniyā
ma.amūl  judā.ī  hai  go  phuul  kī  gulshan  se
lekin  jo  huī  anqā  ḳhvāboñ  meñ  basī  duniyā
sab  ḳhvāb  purāne  haiñ  har  chand  fasāne  haiñ
ham  roz  basāte  haiñ  āñkhoñ  meñ  na.ī  duniyā
ham  donoñ  safar  meñ  the  ma.alūm  nahīñ  ab  kuchh
kyā  tū  ne  kahī  duniyā  kyā  ham  ne  sunī  duniyā
fardā-e-qayāmat  kā  va.ada  tirā  pursāñ  hai
ab  kitnī  bachīñ  sāñseñ  ab  kitnī  bachī  duniyā
har  baat  pe  hairānī  har  lamhe  kī  nigrānī
duniyā  se  'atā'  ya.anī  kab  samjhī  ga.ī  duniyā