Ata Abidi

tamasha zindagi ka roz o shab hai

Ata Abidi

tamāshā zindagī kā roz o shab hai
hamārī āñkhoñ ko ārām kab hai
chamaktī hai tamannā jugnuoñ sī
añdherī raat meñ raunaq ajab hai
zarūrat Dhal ga.ī rishte meñ varna
yahāñ koī kisī kā apnā kab hai
kahīñ duniyā kahāñ us ke taqāze
vo terā mai-kada ye merā lab hai
zabāñ hī terā sarmāya hai lekin
'atā' ḳhāmosh ye jā-e-adab hai
Top Urdushayar.com