tamāshā  zindagī  kā  roz  o  shab  hai
hamārī  āñkhoñ  ko  ārām  kab  hai
chamaktī  hai  tamannā  jugnuoñ  sī
añdherī  raat  meñ  raunaq  ajab  hai
zarūrat  Dhal  ga.ī  rishte  meñ  varna
yahāñ  koī  kisī  kā  apnā  kab  hai
kahīñ  duniyā  kahāñ  us  ke  taqāze
vo  terā  mai-kada  ye  merā  lab  hai
zabāñ  hī  terā  sarmāya  hai  lekin
'atā'  ḳhāmosh  ye  jā-e-adab  hai