tujh  ko  ḳhiffat  se  bachā  luuñ  paanī
tishnagī  apnī  chhupā  luuñ  paanī
ḳhaak  uḌtī  hai  har  ik  chehre  par
kis  kī  āñkhoñ  se  nikālūñ  paanī
dhuup  dariyā  pe  nazar  rakhtī  hai
tujh  ko  kuuze  meñ  chhupā  luuñ  paanī
uḌte  phirte  haiñ  saroñ  par  bādal
ḳhvāb  āñkhoñ  meñ  basā  luuñ  paanī
roz  bachchoñ  ko  sulā  duuñ  yūñhī
roz  patthar  ko  ubālūñ  paanī
aag  se  kheltā  hai  kal  mujh  ko
aa  tujhe  apnā  banā  luuñ  paanī
ḳhārzāroñ  pe  chalūñ  nañge  paañv
ḳhushk  dhartī  kī  duā  luuñ  paanī
sabr  kī  had  bhī  to  kuchh  hotī  hai
kitnā  palkoñ  pe  sambhālūñ  paanī
bhuul  jā.ūñ  na  kahīñ  tairākī
kyuuñ  na  kashtī  hī  jalā  luuñ  paanī
zaḳhm  ho  phuul  ho  yā  añgāra
ho  jo  raushan  to  bulā  luuñ  paanī
shart  hai  terī  rifāqat  varna
vaqt  kī  aag  meñ  Dālūñ  paanī
aag  matlūb-e-lab-e-tishna  hai
maiñ  tujhe  kaise  bulā  luuñ  paanī
chashm-e-ahbāb  jo  ho  ḳhushk  'atā'
ḳhuun  ko  apne  banā  luuñ  paanī