Ata Abidi

jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai

Ata Abidi

jāgte hī nazar aḳhbār meñ kho jaatī hai
zindagī dard ke ambār meñ kho jaatī hai
nā-ḳhudā aql ke patvār uThātā hai ki jab
kashti-e-dil mirī mañjdhār meñ kho jaatī hai
be-sabab sochne vaale kabhī sochā tū ne
āgahī kasrat-e-afkār meñ kho jaatī hai
uḌte rahte haiñ ḳhayālāt ke jugnū phir bhī
baat kyuuñ parda-e-iz.hār meñ kho jaatī hai
us ke kāmoñ kā hai rañgīn ḳhushāmad pe madār
aur mehnat mirī īsār meñ kho jaatī hai
hurmat-e-parda zarūrī hai 'atā-jī' varna
chiiz jaisī bhī ho bāzār meñ kho jaatī hai
Top Urdushayar.com