jāgte  hī  nazar  aḳhbār  meñ  kho  jaatī  hai
zindagī  dard  ke  ambār  meñ  kho  jaatī  hai
nā-ḳhudā  aql  ke  patvār  uThātā  hai  ki  jab
kashti-e-dil  mirī  mañjdhār  meñ  kho  jaatī  hai
be-sabab  sochne  vaale  kabhī  sochā  tū  ne
āgahī  kasrat-e-afkār  meñ  kho  jaatī  hai
uḌte  rahte  haiñ  ḳhayālāt  ke  jugnū  phir  bhī
baat  kyuuñ  parda-e-iz.hār  meñ  kho  jaatī  hai
us  ke  kāmoñ  kā  hai  rañgīn  ḳhushāmad  pe  madār
aur  mehnat  mirī  īsār  meñ  kho  jaatī  hai
hurmat-e-parda  zarūrī  hai  'atā-jī'  varna
chiiz  jaisī  bhī  ho  bāzār  meñ  kho  jaatī  hai