pas-e-dīvār  hujjat  kis  liye  hai
darīche  se  ye  vahshat  kis  liye  hai
na  maiñ  apnā  na  maiñ  terā  huuñ  duniyā
to  phir  jiine  kī  hasrat  kis  liye  hai
agar  suud  o  ziyāñ  ke  ham  haiñ  qaa.el
junūñ  se  apnī  qurbat  kis  liye  hai
jafā  hī  jab  tirī  pahchān  Thahrī
vafā  meñ  mujh  ko  lazzat  kis  liye  hai
mirī  āñkhoñ  pe  jo  pahra  hai  terā
to  ā.īne  se  raġhbat  kis  liye  hai
ḳhud  apne  ghar  meñ  hai  jab  ajnabī  to
mire  bhaa.ī  ye  shohrat  kis  liye  hai
safar  meñ  jab  na  tere  kaam  aa.e
zarā  ye  soch  daulat  kis  liye  hai
adab  hī  zindagī  meñ  jab  na  aayā
adab  meñ  itnī  mehnat  kis  liye  hai
nikal  aa.e  haiñ  dīvāroñ  pe  chehre
tasavvur  kī  ye  jiddat  kis  liye  hai
mirā  ā.īna  hai  jab  terā  chehra
to  phir  duniyā  kī  hairat  kis  liye  hai
ḳhamoshī  hai  javāb-e-jāhilāñ  jab
zabāñ  jaisī  ye  ne.amat  kis  liye  hai
hai  duniyā  kā  javāz  is  amr  hī  meñ
jahannam  kyuuñ  hai  jannat  kis  liye  hai
nahīñ  vāqif  hai  dil  īsār  se  jab
'atā'  iz.hār-e-ulfat  kis  liye  hai