tujh  ko  dekhā  to  ye  lagā  hai  mujhe
ishq  sadiyoñ  se  jāntā  hai  mujhe
āshnā  saḌkeñ  ajnabī  chehre
shahr  meñ  aur  kyā  dikhā  hai  mujhe
log  qīmat  mirī  lagāte  haiñ
kis  jagah  tū  ne  rakh  diyā  hai  mujhe
sub.h  ruḳhsat  kare  makāñ  merā
shaam  ko  ḳhud  hī  DhūñDhtā  hai  mujhe
rat-jago  tum  hī  kuchh  batāo  ab
ishq  to  hai  hī  aur  kyā  hai  mujhe
maiñ  bhī  kyā  dūsroñ  ke  jaisā  huuñ
ḳhud  ko  bāhar  se  dekhnā  hai  mujhe
baat  sach  hai  magar  kahūñ  kaise
tishnagī  ne  Dubo  diyā  hai  mujhe
mauj-dar-mauj  miT  rahā  huuñ  maiñ
kaun  sāhil  pe  likh  gayā  hai  mujhe
kis  liye  roz  jaag  jaatā  huuñ
kaun  hai  jis  kā  Dar  lagā  hai  mujhe