āsmāñ  mil  na  sakā  dhartī  pe  aayā  na  gayā
zindagī  ham  se  koī  Thaur  banāyā  na  gayā
ās.māñ  mujh  se  miyāñ  hujre  meñ  laayā  na  gayā
shā.irī  chhoḌ  dī  mafhūm  churāyā  na  gayā
naukrī  kii,  likhī  nazmeñ,  sukūñ  paayā  na  gayā
shahr-e-dil  tujh  ko  kisī  taur  basāyā  na  gayā
ghar  kī  vīrāniyāñ  rusvā  huiiñ  bekār  meñ  hī
mujh  se  bāzār  meñ  bhī  vaqt  bitāyā  na  gayā
josh  meñ  Dhā  to  dī  rishte  kī  imārat  lekin
donoñ  se  aaj  talak  malba  haTāyā  na  gayā
ḳhuun  ke  daaġh  na  aa  jaa.eñ  mire  lahje  meñ
is  liye  ġhazloñ  ko  aḳhbār  banāyā  na  gayā
dikh  na  jaa.e  tū  bichhaḌtī  huī  bas  is  Dar  se
mujh  se  āñkhoñ  ko  koī  ḳhvāb  dikhāyā  na  gayā
apnā  hissa  bhī  to  māñgā  hai  zamīñ  se  maiñ  ne
ās.māñ  yuuñ  hī  mire  sar  pe  girāyā  na  gayā
jo  tirī  yaad  ke  panchhī  na  ruke  kyā  hai  ajab
umr  bhar  dil  meñ  to  tujh  ko  bhī  biThāyā  na  gayā
zaat  maz.hab  ki  zabāñ  naam  usī  ke  to  haiñ  sab
ḳhud  ko  jis  qaid  se  tā-umr  chhuḌāyā  na  gayā
ḳhaak  dariyā  ke  kināroñ  ko  milā.ūñgā  maiñ
ḳhud  ko  hī  aaj  talak  ḳhud  se  milāyā  na  gayā
merā  īmān  huā  ḳharch  jise  paane  meñ
kyā  ġhazab  hogā  jo  us  shai  ko  bachāyā  na  gayā