maiñ  saarī  umr  ahd-e-vafā  meñ  lagā  rahā
anjām  kah  rahā  hai  ḳhatā  meñ  lagā  rahā
saare  purāne  zaḳhm  na.e  zaḳhm  ne  bhare
bekār  itne  din  maiñ  davā  meñ  lagā  rahā
aisā  nahīñ  ki  chāñd  na  utrā  ho  baam  par
maiñ  hī  tamām  raat  hayā  meñ  lagā  rahā
ai  aql  aur  hogā  koī  us  kī  shakl  kā
dil  kaise  maan  le  vo  jafā  meñ  lagā  rahā
ghar  kar  liyā  udaas  fazāoñ  ne  dil  meñ  maiñ
bāhar  kī  ḳhush-gavār  fazā  meñ  lagā  rahā
kyā  hai  ye  zindagī  vo  batā.egā  kis  tarah
jo  shaḳhs  saarī  umr  qazā  meñ  lagā  rahā
sūraj  to  jā  ke  chain  se  bistar  pe  so  gayā
shab  bhar  magar  charāġh  havā  meñ  lagā  rahā
mujh  se  namāz-e-ishq  mukammal  nahīñ  huī
kis  muñh  se  maiñ  kahūñ  ki  ḳhudā  meñ  lagā  rahā
bahrā  na  mujh  ko  kar  de  ye  ḳhāmoshiyoñ  kā  shor
keval  isī  liye  maiñ  sadā  meñ  lagā  rahā
kyuuñ  mere  haq  meñ  faisla  utrā  nahīñ  kabhī
maiñ  bhī  to  us  ke  saath  duā  meñ  lagā  rahā
vo  chāhtā  hai  kyā  ye  mujhe  thī  ḳhabar  magar
meñ  us  ke  saath  saath  duā  meñ  lagā  rahā