maiñ  shajar  huuñ  aur  ik  pattā  hai  tū
merī  hī  to  shāḳh  se  TuuTā  hai  tū
shā.erī  meñ  roz  tūfāñ  se  laḌā
kyā  samundar  meñ  kabhī  utrā  hai  tū
sub.h  tak  sahmī  rahīñ  āñkheñ  mirī
ḳhvāb  kaisī  raah  se  guzrā  hai  tū
kyā  ḳhabar  kab  saath  merā  chhoḌ  de
āñkhoñ  meñ  Thahrā  huā  qatra  hai  tū
kuchh  kamī  shāyad  tirī  miTTī  meñ  hai
jab  sameTā  dil  tujhe  bikhrā  hai  tū
vaqt-e-ruḳhsat  tū  burā  mat  kah  ise
umr  bhar  is  jism  meñ  Thahrā  hai  tū
buz-dilī  keval  mire  andar  hai  kyā
yuuñ  mujhe  hairat  se  kyuuñ  taktā  hai  tū
ye  tirī  sāzish  hai  yā  phir  ittifāq
maiñ  jahāñ  Duubā  vahīñ  ubhrā  hai  tū
jo  añdhere  meñ  kahīñ  gum  ho  gayā
sochtā  huuñ  kyā  vahī  saaya  hai  tū
kyā  ḳhabar  muḳhbir  havā  kā  ho  vahī
ai  diye  jis  ke  liye  jaltā  hai  tū
zindagī  ne  phir  tujhe  uljhā  liyā
maiñ  na  kahtā  thā  abhī  bachcha  hai  tū