ḳhizāñ  ke  hosh  kisī  roz  maiñ  uḌātā  huā
tumheñ  dikhūñgā  yaqīnan  bahār  laatā  huā
tamām  vaar  mirī  ruuh  par  the  lekin  maiñ
tamām  umr  phirā  jism  ko  bachātā  huā
ḳhushī  se  karnā  ravāna  mire  makāñ  mujh  ko
maiñ  haar  jā.ūñ  agar  vahshateñ  harātā  huā
bahut  udaas  akelā  hamesha  lauTā  kyuuñ
falak  pe  jo  bhī  dikhā  mujh  ko  jagmagātā  huā
mujhe  bulāne  makāñ  aa  na  jaa.e  sahrā  tak
maiñ  ghar  se  aayā  to  huuñ  naqsh-e-pā  miTātā  huā
tumhārī  yaad  hai  bikhrī  paḌī  ka.ī  din  se
laraz  rahā  huuñ  maiñ  apne  hī  ghar  meñ  aatā  huā
hai  ik  ġharīb  ke  bachche  sī  zindagī  apnī
ḳhushī  kā  parb  bhī  guzre  jise  rulātā  huā
ye  tere  lams  kā  jaadū  hai  yā  vafā  merī
badan  se  aa  gayā  bāhar  gale  lagātā  huā