logoñ  ke  sabhī  falsafe  jhuTlā  to  ga.e  ham
dil  jaise  bhī  samjhā  chalo  samjhā  to  ga.e  ham
māyūs  bhalā  kyuuñ  haiñ  ye  duniyā  ke  manāzir
ab  āñkhoñ  meñ  bīnā.ī  liye  aa  to  ga.e  ham
kis  baat  pe  rūThe  dar-o-dīvār-e-makāñ  haiñ
kuchh  der  se  aa.e  haiñ  magar  aa  to  ga.e  ham
ḳhud  raakh  hue  sub.h  talak  sach  hai  ye  lekin
ai  raat  tire  jism  ko  pighlā  to  ga.e  ham
ro.e  hañse  ujḌe  base  bichhḌe  bhī  mile  bhī
dil  saare  tamāshe  tujhe  dikhlā  to  ga.e  ham
kyuuñ  hāshiye  par  aaj  bhī  rakhtī  hai  kahānī
kirdār  nibhāne  kā  hunar  pā  to  ga.e  ham
ab  baḌh  ke  zarā  DhūñDh  leñ  manzil  ke  nishāñ  bhī
uktā.e  hue  rāste  bahlā  to  ga.e  ham
sābun  kī  tarah  ḳhud  ko  galānā  paḌā  be-shak
par  lafz-e-mohabbat  tujhe  chamkā  to  ga.e  ham