tanhā.ī  ta.amīr  karegī  ghar  se  behtar  ik  zindān
bām-o-dar  nahīñ  hoñge  lekin  hogā  jiine  kā  sāmān
kisī  ḳhayāl  kī  sarshārī  meñ  jārī-o-sārī  yaarī  meñ
apne-āp  koī  aa.egā  aur  ban  jā.egā  mehmān
jīvan  paikar  dhul  jā.eñge  jis  meñ  gunāh  o  savāb  samet
aañsū  paidā  kar  hī  deñge  aisī  bārish  kā  imkān
ashkoñ  kī  būñdā-bāndī  meñ  qaus-e-quzah  ke  rañgoñ  se
ik  aisī  tasvīr  banī  hai  saarī  duniyā  hai  hairān
hairānī  zanjīr  karegī  har  pal  na.ī  kahānī  ko
aur  'zafar'  sab  kirdāroñ  meñ  ik  din  paḌ  jā.egī  jaan