Mohammad Deen Taseer

lutf-e-wafa nahin ki wo bedad-gar nahin

Mohammad Deen Taseer

Lahore, Punjab, Pakistan

1902-1958
lutf-e-vafā nahīñ ki vo bedād-gar nahīñ
ḳhāmosh huuñ ki merī fuġhāñ be-asar nahīñ
tere baġhair talḳhi-e-kām-o-dahan harām
dard-e-jigar hai lazzat-e-dard-e-jigar nahīñ
sajdoñ se nā-murād hai jalvoñ se nā-umīd
vo rahguzar ki ab jo tirī rahguzar nahīñ
tum kyā ga.e ki saarā zamāna chalā gayā
vo rāt-din nahīñ haiñ vo shām-o-sahar nahīñ
har har ravish muāmla-e-husn-o-āshiqī
har har qadam faroġh-e-jamāl-e-nazar nahīñ
bebāk chaal chaal se bebāk-tar nazar
ab husn to bahut hai magar fitna-gar nahīñ
zaḳhmoñ se chuur qāfile pur-ḳhār rāste
is meñ tirā qusūr to ai rāhbar nahīñ
duniyā-e-chashm-o-gosh to barbād ho ga.ī
ab kuchh baġhair ma.arka-e-ḳhair-o-shar nahīñ
Top Urdushayar.com