Mohsin Asrar

KHauf-zada logon se rasm-o-rah baDhate phirte hain

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948

ḳhauf-zada logoñ se rasm-o-rāh baḌhāte phirte haiñ

ham be-ḳhvābī ke mausam meñ ḳhvāb dikhāte phirte haiñ

ban-Than kar chalte haiñ ghar se aur us kūcha meñ nahīñ jaate

rasta rasta rahgīroñ se haath milāte phirte haiñ

ham dīvāne ham ko yaarā kab hai shor machāne

ham to apne andar āvāz chhupāte phirte haiñ

logo man bhed na kholo lekin kuchh muñh se bolo

ye sannāTe pas-e-manzar meñ shor machāte phirte haiñ

ham ne tere hijr ko āḳhir kār-e-jahāñ taslīm kiyā

duniyā-dārī karte haiñ aur dhyān baTāte phirte haiñ

bastī meñ kyā chiiz nahīñ jo vīrāne meñ hotī hai

log purāne ġhāroñ meñ kyuuñ diip jalāte phirte haiñ

jab bhī terī yaad aatī hai dil bahlānā paḌtā hai

pahroñ tanhā saḌkoñ par ham gaane gaate phirte haiñ

ye āvāra log nahīñ haiñ DhūñD rahe haiñ bastī ko

ham bhī tere shahr galiyoñ meñ chakrāte phirte haiñ

bin bartī har chiiz meñ 'mohsin' ik din ghun lag jaatā hai

us Dar se ham apne badan ko dhuup lagāte phirte haiñ

Top Urdushayar.com