Mohsin Asrar

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
achchhā hai vo bīmār jo achchhā nahīñ hotā
jab tajribe hote haiñ to dhokā nahīñ hotā
jis lafz ko maiñ toḌ ke ḳhud TuuT gayā huuñ
kahtā bhī to vo us ko gavārā nahīñ hotā
terī hī tarah aatā hai āñkhoñ meñ tirā ḳhvāb
sachchā nahīñ hotā kabhī jhūTā nahīñ hotā
takzīb-e-junūñ ke liye ik shak hī bahut hai
bārish kā samay ho to sitārā nahīñ hotā
kyā kyā dar-o-dīvār mirī ḳhaak meñ gum haiñ
par us ko mirā jism gavārā nahīñ hotā
yā dil nahīñ hotā mire hone ke sabab se
yā dil ke sabab se mirā honā nahīñ hotā
kis ruḳh se tayaqqun ko tabī.at meñ jagah deñ
aisā nahīñ hotā kabhī vaisā nahīñ hotā
ham log jo karte haiñ vo hotā hī nahīñ hai
honā jo nazar aatā hai honā nahīñ hotā
jis din ke guzarte hī yahāñ raat huī hai
ai kaash vo din maiñ ne guzārā nahīñ hotā
jab ham nahīñ hote yahāñ aate haiñ taġhayyur
jab ham yahāñ hote haiñ zamānā nahīñ hotā
ham un meñ haiñ jin kī koī hastī nahīñ hotī
ham TuuT bhī jaa.eñ to tamāshā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com